Wazir Ali Saba Lakhnavi

aaya jo mausam-e-gul to ye hisab hoga

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
aayā jo mausam-e-gul to ye hisāb hogā
ham hoñge yaar hogā jām-e-sharāb hogā
nāloñ se apnī ik din vo inqalāb hogā
dam bhar meñ āsmāñ kā aalam ḳharāb hogā
dikhlā.eñge tujhe ham dāġh-e-jigar kā aalam
muñh is taraf kabhī to ai āftāb hogā
ai zāhid-e-riyā.ī dekhī namāz terī
niyyat agar yahī hai to kyā savāb hogā
vo radd-e-ḳhalq huuñ maiñ gar Duub kar marūñgā
murda mirā vabāl-e-dosh-e-habāb hogā
vo mast haiñ idhar to rakhte nahīñ haiñ sāġhar
maġhrib se haañ numāyāñ jab āftāb hogā
ai zūd-ranj tujh par jo log jaan deñge
rah rah ke turbatoñ meñ un par azaab hogā
ḳhūn-e-siyā.ush ik din dikhlā.egā ḳharābī
is zulm kā evaz ai afrāsiyāb hogā
tū naqd-e-dil ko le kar mukrā tū hī Thahar jā
roz-e-hisāb mere tere hisāb hogā
allāh re un kā ġhussa itnā nahīñ samajhte
kyūñkar koī jiyegā jab yuuñ itaab hogā
dāġh-e-jigar ko le kar jā.eñge ham jo ai dil
jannat meñ hūriyoñ ko rahnā azaab hogā
kyā sair hogī vo mah laayā agar harārā
chehra jo tamtamāyā to āftāb hogā
vo riñd huuñ maiñ zāhid aane de hashr kā din
us roz bhī ye banda mast-e-sharāb hogā
barsāt hai bahāreñ sāqī-e-barq-vash ko
chhāyā huā chaman par kaisā sahāb hogā
ai mehr-vash to kyūñkar parde meñ chhup sakegā
abr-e-tunak kī sūrat muñh par naqāb hogā
ai charḳh-e-pīr ab to ye haal hai sitam kā
kyā hogā jin dinoñ meñ terā shabāb hogā
ai muġhbachoñ tumhārā bāyāñ qadam maiñ luñgā
zāhid kā gar amāma rehn-e-sharāb hogā
dho.egā apne talve vo but jo sañg-pāsī
shīrīñ kā be-sutūñ par naqsha ḳharāb hogā
zulfoñ kā ishq kyūñkar un se bayāñ karūñgā
hāl-e-dil-e-pareshāñ gūñge kā ḳhvāb hogā
sar-kushtagī meñ merā kyā saath de sakegā
ai āsmāñ Thahar jā nā-haq ḳharāb hogā
furqat meñ zabt-e-nāla ham se na ho sakegā
qaabū meñ dil na hogā jab iztirāb hogā
likkhe kī kyā ḳhabar thī ye kaun jāntā thā
laila ke saath paḌh kar majnūñ ḳharāb hogā
īmān tum 'sabā' kā us vaqt dekh lenā
āñkhoñ meñ dam laboñ par yā bū-turāb hogā
Top Urdushayar.com