Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

na ho tu jis mein wo dil bhi hai kya dil

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Delhi, India

-1933
na ho tū jis meñ vo dil bhī hai kyā dil
nikammā dil burā dil bad-numā dil
butoñ ko de diyā nām-e-ḳhudā dil
'saḳhā' merī bhī kyā himmat hai kyā dil
uThe āġhosh se jab dard uTThā
hile pahlū se jab vo hil gayā dil
abhī kamsin haiñ rusvā.ī kā Dar hai
nahīñ lete kisī badnām kā dil
suñghā kar nik.hat-e-zulf-e-muambar
uḌā kar le ga.ī bād-e-sabā dil
phire mujh se to goyā phir gayā baḳht
baḌhe merī taraf to baḌh gayā dil
vahī kāvish vahī sozish vahī dard
tirā paikān hai goyā mirā dil
hameñ bhī rañj-o-rāhat kī ḳhabar thī
hamāre paas bhī tiflī se thā dil
mire mahbūb ke mahbūb ho tum
fidā huuñ dil pe maiñ tum par fidā dil
sambhal hī jā.egā insāñ hai yārab
pighal hī jā.egā patthar hai yā dil
'saḳhā' jo mujh pe guzregī sahūñgā
mire siine meñ hai itnā baḌā dil
Top Urdushayar.com