sitam karnā karam karnā vafā karnā jafā karnā
magar jo ahd kar lenā vo āḳhir tak vafā karnā
kiyā ḳhalvat meñ mujh ko qatl aur mahfil meñ rote ho
qayāmat Dhā ke achchhā yaad hai mahshar bapā karnā
batā ai husn kab tak ishq kī taqdīr meñ āḳhir
ba-minnat dil diyā karnā ba-hasrat muñh takā karnā
na dil vāpas na dildārī ye kyā sheva hai tum ko to
na aayā qarz adā karnā na aayā farz adā karnā
sharāb-e-ishq har millat meñ har maz.hab meñ jaa.ez hai
ye kyā aafat hai ai vaa.iz ravā ko nāravā karnā
nigāh-e-mast-e-sāqī bāda-ḳhvāroñ se ye kahtī hai
butoñ kī jab nazar se gir paḌo yād-e-ḳhudā karnā
tumhārā nām-levā mo'taqid aulād-e-mid.hat-gar
'saḳhā' kī mushkileñ hal yā-alī mushkil-kushā karnā