Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

meri nigah mein yar main uski nigah mein

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Delhi, India

-1933
merī nigah meñ yaar maiñ us kī nigāh meñ
zarre meñ māhtāb hai zarra hai maah meñ
dil meñ hai duud aah to dil dūd-e-āh meñ
abr-e-siyāh ghar meñ ghar abr-e-siyāh meñ
aisā kiyā hai fauj-e-havādis kā sāmnā
hairat meñ hai sipāh to hairat sipāh meñ
phailī huī hai zulf ki chhā.ī huī ghaTā
abr-e-siyāh tum meñ tum abr-e-siyāh meñ
ġham meñ ḳhushī hai aur ḳhushī meñ nihāñ hai ġham
muzmar hai aah vaah meñ aur vaah aah meñ
kyā dekhtā hai mujh ko sarāpā huuñ chashm-e-shauq
merī nigāh tujh pe tū merī nigāh meñ
ashshaiḳh vaqt kyā ye hamārā qusūr hai
lazzat meñ hai gunāh to lazzat gunāh meñ
merī nazar meñ tum ho tumhārī nazar meñ maiñ
merī nigah meñ tum maiñ tumhārī nigāh meñ
shikve meñ shukr shukr meñ shikva milā huā
ye aah merī raah meñ aur vaah aah meñ
maiñ us kā said-e-husn vo merā shikār-e-ishq
us kī nigāh mujh pe vo merī nigāh meñ
dil tum meñ aur dil meñ tum allāh re nasīb
shah maskan-e-gadā meñ gadā qasr-e-shāh meñ
dil bazm-e-yār meñ hai to dil meñ hai bazm-e-yār
mujh meñ hai jalva-gāh to maiñ jalva-gāh meñ
sar aur kulāh donoñ 'saḳhā' be-sabāt haiñ
dam meñ kulāh sar pe na sar hai kulāh meñ
Top Urdushayar.com