Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Delhi, India

-1933
mirī jaañ sarsarī milne se kyā mālūm hotā hai
parakhne se bashar khoTā kharā mālūm hotā hai
tumhāre dil meñ aur merā tasavvur ho nahīñ saktā
tumhāre dil meñ koī dūsrā mālūm hotā hai
tire qadmoñ se ye vīrāna jannat ho gayā goyā
mujhe duniyā se apnā ghar judā mālūm hotā hai
mujhe tum bevafā kahte ho achchhā bevafā huuñ maiñ
magar ye mudda.ī kā mudda.ā mālūm hotā hai
tumhāre dil meñ jo kuchh aa.e pinhāñ rah nahīñ saktā
tumhārā dil to koī ā.īna mālūm hotā hai
adl kī shakl se zāhir us kā dil shikasta hai
chaman meñ aur koī gul khilā mālūm hotā hai
faqīroñ kī sadā sun kar mire dhoke meñ kahte haiñ
sikhā mālūm hotā hai 'saḳhā' mālūm hotā hai
Top Urdushayar.com