dil hai ġhizā-e-rañj jigar hai ġhizā-e-rañj
paidā kiyā hai ham ko ḳhudā ne barā-e-rañj
hāsil kisī se kuchh nahīñ hotā sivā-e-rañj
duniyā meñ laa.ī hai hameñ qismat barā-e-rañj
aadam se bāġh-e-ḳhuld chhuTā ham se kū-e-yār
vo ibtidā-e-rañj hai ye intihā-e-rañj
mumkin nahīñ hai aa.e jo bū-e-gul-e-nashāt
aise dimāġh-e-jāñ meñ bharī hai havā-e-rañj
jhiḌkī de gāliyāñ de sitamgar zalīl kar
kāfir ho ai sanam jo zarā dil meñ laa.e rañj
ham naḳhl-e-āh se chaman-e-rozgār meñ
bāñdhā kiye havā paye nashv-o-numā-e-rañj
ai sān-e-azal mirī miTTī ḳharāb kī
kyā chāhiye thī ḳhāna-e-dil meñ binā-e-rañj
sab dost apnī haal meñ haiñ aap mubtalā
kis se kahūñ maiñ kaun sune mājrā-e-rañj
ham bār-e-ishq ke mutahammil na ho sake
bas dil pakaḌ ke baiTh ga.e vo uThā.e rañj
haiñ sikka-hā-e-dāġh hazāroñ bhare hue
qasr-e-dil-e-faqīr hai daulat sarā-e-rañj
bhūlī nahīñ nasīb ke likkhe kī ḳhūbiyāñ
tahrīr lauh-e-dil pe hai sab mājrā-e-rañj
mumkin nahīñ mizāj rahe ek haal par
gah āshnā-e-aish haiñ gah āshnā-e-rañj
achchhe ye qahqahe nahīñ āshiq ke haal par
dekho hañsī hañsī meñ kahīñ ho na jaa.e rañj
hote haiñ kis libās meñ ash.ār-e-dardnāk
bahr-e-urūs fikr hai zebā ridā-e-rañj
kyā ġham jo kū-e-yār meñ hotā huuñ pā.emāl
fart-e-ḳhushī se ḳhaak nahīñ dil meñ jaa.e rañj
kahte haiñ mere dost mirā haal dekh kar
dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-rañj
saudā-e-ishq meñ ye sa.ādat husūl hai
baḳht-e-siyah hai sāya-e-bāl-e-humā-e-rañj
andher sadma-e-shab-e-furqat hai ai 'sabā'
āñdhī charāġh-e-jāñ ke liye hai havā-e-rañj