vaa.iz ke maiñ zarūr Darāne se Dar gayā
jām-e-sharāb laa.e bhī saaqī kidhar gayā
bulbul kahāñ bahār kahāñ bāġhbāñ kahāñ
vo din guzar ga.e vo zamāna guzar gayā
aisī havā chalī mirī aahoñ kī raat ko
sab āsmāñ pe ḳhirman-e-anjum bikhar gayā
achchhā huā jo ho ga.e vahdat-parast ham
fitna gayā fasād gayā shor-o-shar gayā
ka.abe kī samt sajda kiyā dil ko chhoḌ kar
tū kis taraf thā dhyān hamārā kidhar gayā
phir sair-e-lāla-zār ko ham ai 'sabā' chale
aa.ī bahār dāġh-e-junūñ phir ubhar gayā