ishq kā iḳhtitām karte haiñ
dil kā qissa tamām karte haiñ
qahr hai qatl-e-ām karte haiñ
tark turkī tamām karte haiñ
tāq-e-abrū se un ke dar-guzre
ham yahīñ se salām karte haiñ
shaiḳh us se panāh māñgte haiñ
barahman raam raam karte haiñ
jauharī par tire dur-e-dandāñ
āb-o-dāna harām karte haiñ
ḳhatt-e-qismat paḌhā nahīñ jaatā
sirf mantiq tamām karte haiñ
yā ilāhī halāl hoñ vaa.iz
duḳht-e-raz harām karte haiñ
aap kī muñh lagī hai duḳhtar-e-raz
bāteñ hoñToñ se jaam karte haiñ
chalī duniyā se ham pa-e-uqbā
kuuch bhar maqām karte haiñ
apne dil par hai iḳhtiyār hameñ
mulk kā intizām karte haiñ
qābil-e-guftugū raqīb nahīñ
aap kis se kalām karte haiñ
raat bhar mere nāla-e-pur-dard
niiñd un kī harām karte haiñ
zulm hī ahmaqoñ kī muñh-zorī
tañg ye be-lagām karte haiñ
dil se rañg-e-duī miTāte haiñ
zaḳhm kā iltiyām karte haiñ
ai 'sabā' kyuuñ kisī kā dil toḌeñ
ka.abe kā ehtirām karte haiñ