Mohammad Hazim Hassan

de KHuda wusat to sab ke kaam aana chahiye

Mohammad Hazim Hassan

Kishanganj, Bihar, India

1959
de ḳhudā vus.at to sab ke kaam aanā chāhiye
dil meñ dushman ke bhī ghar apnā banānā chāhiye
aap ke dil meñ jagah mere liye kyā sach hai ye
allāh allāh is se behtar kyā Thikāna hai
gar kabhī nafrat kī koī lahr uThe qalb se
jis tarah ho us ko to qaabū meñ laanā chāhiye
bāñTte hī chāhiye rahnā mohabbat ke gulāb
dil ke gulshan ko kahā kis ne sajānā chāhiye
anjuman koī ho aur dāman kisī kā bhī ho vo
ḳhushbuoñ meñ sab ke dāman ko basānā chāhiye
rāz-e-dil ifshā na ho 'hassān' hai behtar yahī
hāl-e-dil khul kar kabhī lab par na laanā chāhiye
Top Urdushayar.com