kisī bhī hādse se zindagī ke ham nahīñ Darte
kisī bhī haal meñ ham hausla kuchh kam nahīñ karte
ham aane vaale kal ke vāste bechain rahte haiñ
jo kal guzrā hai us kal kā kabhī mātam nahīñ karte
hamārī zaat se taklīf pahuñche koī nā-mumkin
koī nāhaq agar rūThe to us kā ġham nahīñ karte
jinheñ ma.alūm hai ashkoñ kī qīmat ai mire hamdam
kisī ke sāmne āñkhoñ ko apnī nam nahīñ karte
hai jin ke dil meñ ummīd-o-yaqīñ kī raushnī baaqī
charāġh-e-ārzū kī lau ko vo maddham nahīñ karte
jinheñ maqsad meñ apne kāmyābī ho nahīñ paatī
vo jidd-o-jahd karte haiñ magar paiham nahīñ karte
tahammul apnī fitrat meñ hai shāmil vo kabhī 'hassān'
mizāj apnā zarā sī baat par barham nahīñ karte