apne begānoñ meñ maiñ ne farq kuchh paayā nahīñ
is liye lab par koī shikva kabhī laayā nahīñ
āsmān-e-dil pe bādal ġham kā yuuñ chhāyā rahā
haañ magar āñkhoñ se maiñ ne us ko barsāyā nahīñ
ḳhush-gavarī kā ta.assur aa gayā chehre pe yuuñ
zaḳhm jo dil par lagā thā vo to bhar paayā nahīñ
tum ne ġhairoñ ke liye mujh se kiyā jañg-o-jadal
mere iḳhlās-o-vafā ne tum ko taḌpāyā nahīñ
apnī mahrūmī kā maiñ kyuuñ kar karūñ shikva batā
jāntā huuñ raat kā hotā koī saayā nahīñ
sair-tan kī vādiyoñ kī to kiyā vo baar baar
ruuh kī gahrā.iyoñ meñ par utar paayā nahīñ
kaisī qurbat vasl kyā aur kyā qarār-e-jān-o-dil
vaqt ne sab kuchh diyā maiñ ne magar paayā nahīñ
kaisī ulfat pyaar kaisā aur kyā mehr-o-vafā
shahr meñ mere to aisī shai koī laayā nahīñ