Wazir Ali Saba Lakhnavi

dekh kar KHush-rang us gul-pairahan ke hath panw

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
dekh kar ḳhush-rañg us gul-pairahan ke haath paañv
phuul jaate haiñ javānān-e-chaman ke haath paañv
jab na dekhe chaar din us gul-badan ke haath paañv
suukh kar kāñTā hue ahl-e-chaman ke haath paañv
ham vo mai-kash haiñ jo hotā hai hameñ ranj-e-ḳhumār
TūTte haiñ sāqi-e-paimāñ-shikan ke haath paañv
un ke maqtūloñ kī qabreñ is qadar khodī ga.iiñ
thak ke taḳhta ho ga.e har gorkan ke haath paañv
aatī jaatī choT bhī sach hī nazar aatī nahīñ
āj-kal chalte haiñ kyā us teġh-zan ke haath paañv
ḳhāksārī kā mazā hotā jo ai ḳhusrav tujhe
āb-e-shīrīñ se dhulātā kohkan ke haath paañv
hathkaḌī beḌī baḌī zoroñ se pahnā.ī mujhe
ai junūñ shal ho ga.e ahl-e-vatan ke haath paañv
kaaT Daalā dast-e-shāḳh-e-gul ko pā-e-sarv ko
bāġhbāñ ne dekh kar us gul-badan ke haath paañv
tausan-e-mushkīñ se jab us turk kī tashbīh dī
joḌ meñ Thahre na āhū-e-ḳhutan ke haath paañv
apne gesū-e-rasā se yaar rassī kī tarah
bāñdhtā hai āshiq-e-chāh-e-zaqan ke haath paañv
naujavānān-e-chaman us gul se tharrāte haiñ yuuñ
jis tarah kāñpeñ kisī pīr-e-kuhan ke haath paañv
shab ko garm-e-raqs hotā hai jo vo ātish-mizāj
sham.a saañ jalte haiñ saare anjuman ke haath paañv
hathkaḌī beḌī jo mujh majnūñ kī utrī ba.ad-e-marg
qabr meñ TukḌe uḌā.eñge kafan ke haath paañv
ho ga.ī ḳham Thoñk kar dev-e-ḳhizāñ ke sāmne
kyā kasīle haiñ javānān-e-chaman ke haath paañv
shāhid-e-maqsad tumheñ be-vāsta mil jā.egā
ai 'sabā' chūmo na shaiḳh-o-barahman ke haath paañv
Top Urdushayar.com