dhokā hai us kā jānib-e-aġhyār dekhnā
jab ham na hoñ to rañg-e-ruḳh-e-yār dekhnā
tujh se bichhaḌnā yuuñ bhī qayāmat se kam na thā
is par tirā palaT ke vo ik baar dekhnā
apne ġhamoñ kā bojh uThā apne dosh par
tauhīn-e-ġham hai jānib-e-ġham-ḳhvār dekhnā
vo shakl ek ḳhvāb thī aur ḳhvāb ḳhvāb hai
kab tak ye ḳhvāb dīda-e-bedār dekhnā
rahte haiñ shahr-e-sañg meñ shīshe kā dil liye
logo hamārā jazba-e-īsār dekhnā
'ābid' qadam to maqtal-e-fan kī taraf baḌhā
kitne haiñ tere sar ke talabgār dekhnā