Abrar Abid

fikr ka gar silsila maujud hai

Abrar Abid

Banaras, Uttar pradesh, India

1942
fikr kā gar silsila maujūd hai
faash hai vo bhī jo nā-maujūd hai
us se mujh se fāsla kuchh bhī nahīñ
ek dīvār-e-anā maujūd hai
sochtā huuñ kuchh amal kartā huuñ kuchh
mujh meñ koī dūsrā maujūd hai
suntā rahtā huuñ tire qadmoñ kī chaap
varna dil meñ aur kyā maujūd hai
hijr meñ ro.e to jī halkā huā
dard ke andar davā maujūd hai
haal pūchhā us ne mujh se baat kī
ab yaqīn aayā ḳhudā maujūd hai
ab to 'ābid' chashm-e-nam bhī hai ḳhamosh
roz ik sadma nayā maujūd hai
Top Urdushayar.com