Abrar Abid

kis se ab ja ke kahen haal-e-pareshan apna

Abrar Abid

Banaras, Uttar pradesh, India

1942
kis se ab jā ke kaheñ hāl-e-pareshāñ apnā
liye phirte haiñ sabhī chaak garebāñ apnā
juz tire naam ke ubhrī na koī aur sadā
ham ne chheḌā jo kabhī tār-e-rag-e-jāñ apnā
phir use mujh sā koī chāhne vaalā na milā
vo pashemāñ hai bahut toḌ ke paimāñ apnā
mere hoñToñ ke tabassum se hirāsāñ ho kar
ruḳh badal letā hai sail-e-ġham-e-daurāñ apnā
bāġhbāñ se kabhī ḳhairāt na māñgī ham ne
mausam-e-gul meñ bhī ḳhālī rahā dāmāñ apnā
kam se kam jhūTī tasallī se to mahfūz haiñ ham
ye bhī achchhā hai ki koī nahīñ pursāñ apnā
apne qadmoñ pe farishtoñ ko jhukā saktā hai
martaba jaan le 'ābid' agar insāñ apnā
Top Urdushayar.com