paas us ke mire ġham kā mudāvā bhī nahīñ hai
lekin mujhe us shaḳhs se shikva bhī nahīñ hai
kyā ilm thā ye din bhī dikhā.egī mohabbat
vo aise milā jaise shanāsā bhī nahīñ hai
āñchal pe tire Taañk to detā dam-e-ruḳhsat
palkoñ pe mirī koī sitāra bhī nahīñ hai
hairān huuñ maiñ aaj sar-e-jāda-e-iḳhlās
tā-dūr koī naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ hai
kuchh habs to TuuTe ki tirī yaad kā bādal
khultā bhī nahīñ aur barastā bhī nahīñ hai
'ābid' ġham-e-hastī se nikal jā.eñge bach kar
is baab meñ ham ne kabhī sochā bhī nahīñ hai