Abrar Abid

KHushi na mil saki aankhen meri pur-ab rahin

Abrar Abid

Banaras, Uttar pradesh, India

1942
ḳhushī na mil sakī āñkheñ mirī pur-āb rahīñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb rahīñ
sahar huī na mire shahr-e-ārzū meñ kabhī
ki mehr-e-husn kī kirneñ pas-e-naqāb rahīñ
unhī ke dam se hai qaa.em vaqār-e-sajda-e-shukr
vo log jin kī sadā qismateñ ḳharāb rahīñ
kisī ne bhī dar-e-ehsās apnā vā na kiyā
dukhe diloñ kī sadā.eñ na kāmyāb rahīñ
sukūñ se rahte haiñ kis tarah log duniyā meñ
mire liye to ye sāñseñ bhī ik azaab rahīñ
rah-e-vafā meñ nigāhoñ se ho ga.iiñ ojhal
jo sūrateñ mirī āñkhoñ kā intiḳhāb rahīñ
base hue haiñ mire ḳhvāb jin meñ ai 'ābid'
vo bastiyāñ to hamesha hī zer-e-āb rahīñ
Top Urdushayar.com