Duub jaanā mirā muqaddar thā
us kī āñkheñ na thiiñ samundar thā
sabab-e-dil-shikastagī mat pūchh
sāmne aa.ine ke patthar thā
be-tavāzun guzar rahī hai hayāt
vo mirī zindagī kā mehvar thā
jis kī sāñsoñ meñ thī masīhā.ī
us kā ek ek lafz nashtar thā
us ko dekhā to mar gayā shāyad
mujh meñ poshīda ek aazar thā
jis ko 'ābid' sukūn-e-dil kahiye
ab nahīñ hai kabhī mayassar thā