sāñsoñ ko de ke tohfa-e-nik.hat guzar ga.ī
chhū kar mujhe havā-e-mohabbat guzar ga.ī
āñkhoñ meñ e'tibār kā mausam basā rahā
mujh ko fareb de ke vo sūrat guzar ga.ī
mahsūs kar rahā huuñ use har nafas ke saath
vo jis ke intizār meñ muddat guzar ga.ī
āñkhoñ meñ ek karb sā lahrā ke rah gayā
nazroñ se jab bhī terī shabāhat guzar ga.ī
vaqt aa paḌā zamīr-faroshī kā gar kabhī
dāman bachā ke merī zarūrat guzar ga.ī
'ābid' mire liye to qayāmat se kam na thī
kahne ko us ke hijr kī saa.at guzar ga.ī