bashar bashar se gurezāñ hai dekhiye kyā ho
ik inqalāb numāyāñ hai dekhiye kyā ho
faqat junūñ hī nahīñ ab ke mausam-e-gul meñ
ḳhirad bhī chāk-garebāñ dekhiye kyā ho
rah-e-hayāt kī dushvāriyāñ are tauba
sabāt-e-azm bhī larzāñ hai dekhiye kyā ho
badal to saktī hai nairañgī-e-fareb-e-sahar
yaqīñ nahīñ magar imkāñ hai dekhiye kyā ho
jise bhī dekhiye 'ābid' hayāt se bezār
har ek shaḳhs pareshāñ hai dekhiye kyā ho