nafs namrūd hai kyā honā hai
shirk maujūd hai kyā honā hai
kashf maqsūd hai kyā honā hai
haal mafqūd hai kyā honā hai
sajde hote haiñ kise o ġhāfil
kaun ma.abūd hai kyā honā hai
chhoḌ duniyā-e-danī kā pīchhā
is se kyā suud hai kyā honā hai
hast-o-būd-e-tan-e-ḳhākī ik din
nīst-nābūd hai kyā honā hai
saaf hotā ki ho az-ḳhud rafta
raah masdūd hai kyā honā hai
dekhiye hashr ko kaise guzre
roz-e-ma.hūd hai kyā honā hai
chāhiye masjid-e-aqsā meñ namāz
dair masjūd hai kyā honā hai
man-o-salvā jise ham samjhe haiñ
zahr-ālūd hī kyā honā hai
garmī-e-ishq-o-nihāl-e-hastī
ātish-o-ūd hai kyā honā hai
jauhar-e-rūh tan-e-ḳhākī meñ
kyā gul-andūd hai kyā honā hai
jo ki mansūr ke pesh aayā thā
vahī maujūd hai kyā honā hai
ḳhud parastī kī burī hai sūrat
abd ma.abūd hai kyā honā hai
ai 'sabā' dekhiye vo parda-nashīñ
kis se ḳhush-nūd hai kyā honā hai