Figar Muradabadi

teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra

Figar Muradabadi

tirī justujū meñ dekhā maiñ kahāñ kahāñ se guzrā
kabhī is zamīñ ko rauñdā kabhī āsmāñ se guzrā
tire ġham meñ do jahāñ se jo bachā liyā hai dāman
kabhī aisā bhī huā hai ġham-e-do-jahāñ se guzrā
mire naqsh-hā-e-ulfat ye batā rahe haiñ sab ko
maiñ kahāñ kahāñ pe Thahrā maiñ kahāñ kahāñ se guzrā
ye masājid-o-manādir mire kaam kuchh na aa.e
tire ishq meñ jo guzrā to maiñ apnī jaañ se guzrā
tū ḳhabīr bhī hai kāmil tū aliim bhī hai mutlaq
tire sāmne kahūñ kyā maiñ kahāñ kahāñ se guzrā
kabhī vo the mujh se barham kabhī mujh pe mehrbāñ the
ki 'figār' ishq merā kaḌe imtihāñ se guzrā
Top Urdushayar.com