Qaisar Siddiqi

rah-e-hayat ko aasan bana sako to chalo

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
rah-e-hayāt ko āsāñ banā sako to chalo
hamārā saath agar tum nibhā sako to chalo
nigāh-e-nāz kā jaadū jagā sako to chalo
qadam qadam pe na.e gul khilā sako to chalo
rah-e-vafā meñ ġhamoñ ke bahut añdhere haiñ
har ek haal meñ tum muskurā sako to chalo
mire ḳhayāl kī duniyā hai mujh pe chhā.ī huī
mire ḳhayāl kī duniyā pe chhā sako to chalo
baḌe ḳhulūs se chehre fareb dete haiñ
nigāh ban ke diloñ meñ samā sako to chalo
sajā ke raat ke māthe pe chāñd kā jhūmar
mujhe añdhere meñ rasta dikhā sako to chalo
na.ī hai raah to 'qaisar' na.ī nigāh bhī ho
na.ī hayāt ke naġhme sunā sako to chalo
Top Urdushayar.com