Qaisar Siddiqi

KHwab jo dekhe hain maine unhen paikar dega

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
ḳhvāb jo dekhe haiñ maiñ ne unheñ paikar degā
merā sahrā mujhe ik roz samundar degā
ek qatra jo laraztā hai mirī palkoñ par
zard mausam ko yahī qatra harā kar degā
mujh ko kuchh aur fazāoñ meñ bikhar jaane do
merā ehsās ḳhalāoñ meñ mujhe ghar degā
huuñ gunahgār magar itnā gunahgār nahīñ
mujh ko degā bhī to vo phuul sā patthar degā
sochtā huuñ to thakan aur bhī baḌh jaatī hai
phir mujhe izn-e-safar harf-e-mukarrar degā
isī aalam meñ mire ḳhvāboñ kī duniyā bhī hai
merī duniyā ko bhī vaqt ek payambar degā
mere hamrāz mire dost mire saath na chal
lamha lamha tujhe āvāz kī Thokar degā
Top Urdushayar.com