qabr par bād-e-fanā ā.iyegā
be-mahal paañv na phailā.iyegā
laakh ho vasl kā va.ada lekin
vaqt par saaf nikal jā.iyegā
jaa.eñ dam bhar ko to farmāte haiñ
chhāvnī to na kahīñ chhā.iyegā
sar hue is ke mulamma.a se na aap
zulf-e-mushkīñ se ḳhatā pā.iyegā
na kareñ aap vafā ham ko kyā
bevafā aap hī kahlā.iyegā
uTh gayā dil se duī kā pardā
chhup ke ab aap kahāñ jā.iyegā
kahkashāñ saaf banegā rasta
aap tausan ko jo chamkā.iyegā
rañg lā.egī nazākat baḌh kar
phuul ke baar se pattā.iyegā
kyā kareñ vasf-e-dahan Darte haiñ
muñh meñ jo aa.egā farmā.iyegā
zulf ko haath lagā.eñge jo ham
beḌiyāñ paaoñ meñ pahnā.iyegā
dekheñ raġhbat se to kahtā hai vo shoḳh
koī halvā hai ki khā jā.iyegā
kyā kiyā ishq ne kyuuñ hazrat-e-dil
ham na kahte the ki pachhtā.iyegā
aap chalte to haiñ aTkheliyoñ se
koī aafat na kahīñ lā.iyegā
ai 'sabā' ishq-e-parī-rūyāñ meñ
ādamiyyat se guzar jā.iyegā