Qaisar Siddiqi

yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
yuuñ dil-e-dīvāna ko aksar sazā detā huuñ maiñ
apnī barbādī pe ḳhud hī muskurā detā huuñ maiñ
apne dil ke ḳhuun se vo gul khilā detā huuñ maiñ
regzāroñ ko gulistāñ kī adā detā huuñ maiñ
aisī manzil par mujhe pahuñchā diyā hai ishq ne
merā jo qātil hai us ko bhī duā detā huuñ maiñ
kyuuñ kisī kā naam le kar ishq ko rusvā karūñ
apne dil kī aag ko ḳhud hī havā detā huuñ maiñ
zikr yuuñ kartā huuñ apne ġham kā apne dard kā
hosh vāloñ ko bhī dīvāna banā detā huuñ maiñ
kyā guzartī hai mire dil par ḳhudārā kuchh na pūchh
dushmanoñ ko jab talak ghar kā patā detā huuñ maiñ
apnī hī āvāz ḳhud lagtī hai mujh ko ajnabī
jab akele meñ kabhī tujh ko sadā detā huuñ maiñ
nashtar-e-yād-e-ġham-e-jānāñ se 'qaisar' in dinoñ
zaḳhm jo sote haiñ un ko phir jagā detā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com