fazāoñ se guzartā jā rahā huuñ
ḳhalāoñ meñ bikhartā jā rahā huuñ
maiñ registān meñ baiThā huuñ lekin
samundar meñ utartā jā rahā huuñ
zamāna lamha lamha jī rahā hai
maiñ lamha lamha martā jā rahā huuñ
vo jitne duur hote jā rahe haiñ
maiñ utnā hī sañvartā jā rahā huuñ
chalā huuñ apne se do haat karne
magar ḳhud se bhī Dartā jā rahā huuñ
maiñ nuqta ban ke ik markaz pe yaaro
na jaane kyuuñ Thahartā jā rahā huuñ
miTāne par bhī maiñ urdu kī mānind
sañvartā aur nikhartā jā rahā huuñ
maiñ kaalī jhiil meñ Duubā thā ḳhud hī
magar ḳhud hī ubhartā jā rahā huuñ
maiñ 'qaisar' apnī āñkhoñ se Tapak kar
kisī dil meñ utartā jā rahā huuñ