kyā chiiz hai uzr-e-lab-e-iz.hār kā saaya
iqrār kā saaya kabhī inkār kā saaya
taqdīr gulistāñ kī badal detā hai vo phuul
paḌ jaatā hai jis phuul pe talvār kā saaya
dīvār se dīvār kī duurī are tauba
paḌtā nahīñ dīvār pe dīvār kā saaya
ehsās kī uñglī se Tapakte haiñ sitāre
chubhtā hai mire zehn meñ jab ḳhaar kā saaya
'qaisar' mire jazbāt meñ naġhmoñ kī lachak hai
hai fan pe mire gesū-e-ḳhamdār kā saaya