aarzū nākām ho kar rah ga.ī hai
zindagī ilzām ho kar rah ga.ī hai
ḳhvāb ta.abīroñ ke ma.anī pūchhte haiñ
niiñd be-anjām ho kar rah ga.ī hai
yaad bhī qātil kī hai shamshīr qātil
raat ḳhūñ-āshām ho kar ga.ī hai
vaqt ne dastār kī sūrat badal dī
ab to ye ehrām ho kar rah ga.ī hai
zahr meñ Duubī huī ik muskurāhaT
maut kā paiġhām ho kar rah ga.ī hai
nāchtī haiñ dhaan ke khetoñ meñ pariyāñ
ye ghaTā in.aam ho kar rah ga.ī hai
guftugū-e-dil ba-unvān-e-mohabbat
sar-ba-sar ilzām ho kar rah ga.ī hai
gardish jām-o-subū ko kyā huā hai
gardish-e-ayyām ho kar rah ga.ī hai