ghar se maiñ jab bhī akelā niklā
mujh se pahle mirā saaya niklā
phaaḌ kar dāman-e-sahrā niklā
mere andar se jo dariyā niklā
ik tabassum jo milā thā mujh ko
vo bhī ik zaḳhm-e-tamannā niklā
jis pe kal sañg-e-malāmat barse
aaj vo daar pe iisā niklā
aa.ina dekhā jo uryāñ ho kar
jism hī jism kā pardā niklā
jis ne ye bhiiḌ lagā rakkhī thī
ḳhud vo us bhiiḌ meñ tanhā niklā
chehra ījād hai ā.īne kī
aa.ina niklā to chehra niklā
aaj ik ḳhat ko jo kholā 'qaisar'
us meñ sūraj kā sarāpā niklā