jab bhī mujh ko apnā bachpan yaad aatā hai
bachpan ke ik pyaar kā bachpan yaad aatā hai
dekh ke is muñh-zor javānī kī muñh-zorī
mujh ko is kā totlā bachpan yaad aatā hai
aurat maañ thī bahan thī daadī thī naanī thī
kore kāġhaz jaisā bachpan yaad aatā hai
tūfānī bārish ghar meñ sailāb kā aalam
ThanDā chūlhā bhūkā bachpan yaad aatā hai
tanhā.ī kā dukh to kam ho kisī bahāne
dekheñ kis kā kis kā bachpan yaad aatā hai
shahd ke jaisī mīThī bolī yaad aatī hai
duudh ke jaisā ujlā bachpan yaad aatā hai
bachpan ke yāroñ se miltā rahtā huuñ maiñ
'qaisar' mujh ko sab kā bachpan yaad aatā hai