Qaisar Siddiqi

sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
sitāre jab kisī mahtāb kā qissa sunāte haiñ
mire ḳhvāboñ ke āñgan meñ ujāle muskurāte haiñ
haqīqat sāmne laane se jab dāman bachāte haiñ
to gir kar aa.ine hāthoñ se ḳhud hī TuuT jaate haiñ
hameñ to muskurāne ke sivā kuchh bhī nahīñ aatā
hujūm-e-ġham meñ bhī ham log yuuñ hī muskurāte haiñ
chalo ai bāda-ḳhvāro chal ke un kī ḳhairiyat pūchheñ
sunā hai shaiḳh sāhab mai-kade meñ paa.e jaate haiñ
mohabbat meñ nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ paayā
magar phir bhī mohabbat se kahāñ ham baaz aate haiñ
tum hī rūThe hue ho jab hamāre dil kī duniyā se
chalo phir ham bhī apnī zindagī se ruuTh jaate haiñ
yahī hai farq zāhid aur āshiq kī ibādat meñ
ye apnā sar jhukātā hai vo apnā dil jhukāte haiñ
mirī ummīd aksar chāhtī hai surḳh-rū honā
magar hālāt aksar mujh ko ā.īna dikhāte haiñ
Top Urdushayar.com