ilzām kuchh na kuchh to mire sar bhī aa.egā
āñgan meñ peḌ hogā to patthar bhī aa.egā
sūraj ke ġhusl karne kā manzar bhī aa.egā
in jañgaloñ ke ba.ad samundar bhī aa.egā
sāmāñ jarāhatoñ ke bhī ham saath le chaleñ
is rāste meñ shahr-e-sitamgar bhī aa.egā
vo saañp jis ko duudh pilātī hai dushmanī
thailī se ek roz vo bāhar bhī aa.egā
palkoñ pe apnī ḳhvāb-e-tajallī sajā.iye
shaam aa.ī hai to raat kā lashkar bhī aa.egā
jo saaya kheltā hai abhī merī god meñ
ik din vo mere qad ke barābar bhī aa.egā
is dopahar kī dhuup ko shāyad ḳhabar nahīñ
sahrā meñ koī mom kā paikar bhī aa.egā
jab tum nahīñ to us kā bhī kyā kaam hai yahāñ
tum aaoge to bazm meñ 'qaisar' bhī aa.egā