Qaisar Siddiqi

aalam-e-be-chehragi mein kaun kis ka aashna

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
ālam-e-be-chehragī meñ kaun kis kā āshnā
aaj kā har lafz hai mafhūm se nā-āshnā
kaun hotā hai zamāne meñ kisī kā āshnā
log honā chāhte haiñ ḳhud zamāna-āshnā
sochtā huuñ kaun sī manzil hai ye idrāk kī
zarra zarra āshnā hai pattā pattā āshnā
chaaT jaatī hai jinheñ sūraj kī pyāsī raushnī
kaash ho jaa.eñ kisī din vo bhī dariyā-āshnā
tishnagī aa.ī sarāboñ se guzar kar aab tak
sāhil-e-dariyā magar ab tak hai sahrā-āshnā
zauq-e-ḳhud-bīnī kī taskīn-e-anā ke vāste
kitne hī nā-āshnāoñ ko banāyā āshnā
kaash ho jaa.e tirī āñkhoñ pe ḳhvāboñ kā nuzūl
kaash ho jaa.e tirā dil bhī tamannā-āshnā
kaun pahchānegā ham ko kaun pūchhegā mizāj
kaun hai apne sivā 'qaisar' hamārā āshnā
Top Urdushayar.com