Qaisar Siddiqi

hum apni fikr ka chehra badal ke dekhte hain

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
ham apnī fikr kā chehra badal ke dekhte haiñ
tilism ḳhvāb se bāhar nikal ke dekhte haiñ
sunā ye hai ki bahut tez gaam ho tum log
tumhāre saath zarā ham bhī chal ke dekhte haiñ
uThā ke chāñd sitāroñ ko sar pe dekh chuke
ham apne māthe pe ab ḳhaak mal ke dekhte haiñ
zarā pata to chale husn-e-ahd-e-nau kyā hai
na.ī nigāh ke sāñche meñ Dhal ke dekhte haiñ
na.ī hayāt kī tasvīr dekhne vaale
had-e-nigāh se aage nikal ke dekhte haiñ
ye kaise dost haiñ pūchhe to koī un se zarā
sambhālte nahīñ lekin sambhal ke dekhte haiñ
yahāñ vahāñ to bahut jal chuke miyāñ 'qaisar'
ab apne dil kī samādhī pe jal ke dekhte haiñ
Top Urdushayar.com