Qaisar Siddiqi

na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
na tarz-e-ḳhās na andāz-e-gul-fishāñ le kar
pukārtā huuñ maiñ tujh ko tirī zabāñ le kar
tamām husn-e-tamannā dhuāñ dhuāñ le kar
nigāh bujh hī ga.ī raat kā samāñ le kar
mirī bahār-e-tamannā ko jāvedāñ kar de
maiñ kyā karūñgā bhalā umr-e-rā.egāñ le kar
tumhāre bazm kā dastūr chāhe jo bhī ho
tumhārī bazm meñ aayā huuñ maiñ zabāñ le kar
ab aur kitnā tamāsha banā.egī qismat
phirūñ maiñ apnā janāza kahāñ kahāñ le kar
mujhe hī raas na aa.ī ye bad-nasīb zabāñ
to kyā karoge miyāñ tum mirī zabāñ le kar
ye pastiyoñ kī lakīreñ na chhū sakeñgī mujhe
maiñ ghar se niklā huuñ āñkhoñ meñ āsmāñ le kar
suhāg jis kī judā.ī meñ ujḌā ujḌā hai
kabhī to lauTegā sone kī chūḌiyāñ le kar
tumhārā aa.ina kaise na ehtirām kare
mirī ġhazal bhī to aa.ī hai kahkashāñ le kar
ḳhirad kī resham-o-atlas-navāz mahfil meñ
junūñ chalā hai garebāñ kī dhajjiyāñ le kar
mizāj bachchoñ ke jaisā hai ab bhī 'qaisar' kā
bahut hī ḳhush hai vo kāġhaz kī titliyāñ le kar
Top Urdushayar.com