Wazir Ali Saba Lakhnavi

ashk-uftada nazar aate hain sare dariya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
ashk-uftāda nazar aate haiñ saare dariyā
sail-e-girya ne ye nazroñ se utāre dariyā
dekh leñ gar mirī ashkoñ ke sharāre dariyā
ḳhushk barsāt meñ hoñ ḳhauf ke maare dariyā
donoñ chashmoñ se mirī ashk bahā karte haiñ
mauj-zan rahtā hai dariyā ke kināre dariyā
raġhbat is tark ko machhlī ke kabāboñ se nahīñ
ātish-e-shauq se sheḳhī na baghāre dariyā
kaam ashkoñ kī ravānī se na niklā āḳhir
justujū-e-dur-e-maqsūd meñ haare dariyā
jis ko izzat de use phir na kare be-izzat
kulah-e-sar na habāboñ kī utāre dariyā
saath ġhairoñ ke vahāñ tum to nahāne ko ga.e
ro.e yaañ ham ġham-e-furqat meñ tumhāre dariyā
hāsil-e-gauhar-e-maqsūd hai rone se mujhe
dīda-e-tar ke badaulat hai ijāre dariyā
aañkh se mujh ko bulātā nahīñ vo qulzum-e-husn
chashm-e-girdāb se kartā hai ishāre dariyā
bār-e-ulfat ko jo le sar pe to nikle na kasak
tā-qayāmat kamar-e-koh jo dhāre dariyā
jab maiñ rotā huuñ nazar aatā hai paanī paanī
dam-e-girya mirī āñkhoñ ke haiñ taare dariyā
furqat-e-yār meñ kyā sair kareñ dariyā kī
ai 'sabā' dīda-e-giryāñ haiñ hamāre dariyā
Top Urdushayar.com