vo ruḳhsat kī ghaḌī vo dīda-e-nam yaad aate haiñ
na jaane aaj kyuuñ bhūle hue ġham yaad aate haiñ
ye chashm-e-dost kī sāzish nahīñ to aur phir kyā hai
ki mere mundamil zaḳhmoñ ke marham yaad aate haiñ
huā hai jab se dil said-e-sitam-hā-e-ġham-e-daurāñ
vo yaad aate to haiñ lekin bahut kam yaad aate haiñ
yahāñ ham ġham ġhalat karne ko aa.e the magar saaqī
qayāmat hai ki maiḳhāne meñ bhī ġham yaad aate haiñ
koī jab chheḌtā hai qissa-e-dār-o-rasan 'qaisar'
to dīvānoñ ko un kī zulf ke ḳham yaad aatā hai