Qaisar Siddiqi

man bhi shair ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
man bhī shā.ir kī tarah tan bhī ġhazal jaisā hai
ye tire ruup kā darpan bhī ġhazal jaisā hai
reshmī chūḌiyāñ aisī ki ġhazal ke misre
ye khanaktā huā kañgan bhī ġhazal jaisā hai
in lachaktī huī zulfoñ meñ hai gokul kā samāñ
ye mahaktā huā sāvan bhī ġhazal jaisā hai
log-gītoñ kī tarah tū bhī rasīlī hai magar
merī sajnī tirā sājan bhī ġhazal jaisā hai
mere jazbāt kī shoḳhī bhī ġhazal jaisī hai
mere ehsās kā bachpan bhī ġhazal jaisā hai
dekh kar tujh ko ġhazal kaise na likkhe 'qaisar'
tū ġhazal jaisī hai yauvan bhī ġhazal jaisā hai
Top Urdushayar.com