ik bhiiḌ hai jalvoñ kī aur merī nazar tanhā
hai ā.ina-ḳhāne meñ ḳhud ā.ina-gar tanhā
un paañv ke chhāloñ se pūchho ye batā.eñge
tai kaise kiyā ham ne sho.aloñ kā safar tanhā
jalte hue mausam meñ is tarah vo hañstā hai
sahrā meñ hañse jaise koī gul-e-tar tanhā
kyā jāniye kyuuñ mujh par ye ḳhaas ināyat hai
kyā jāniye jaltā hai kyuuñ merā hī ghar tanhā
ik shor-e-qayāmat hai aur bhiiḌ hai chehroñ kī
is daur meñ rahtā hai har shaḳhs magar tanhā
tanhā.ī kā ġham tum ko us vaqt maza degā
merī hī tarah tum bhī ho jaao agar tanhā