raushnī sub.h kī yā shab kī syāhī deñge
jo bhī denā hai tumheñ zill-e-ilāhī deñge
shaiḳh sāhab to azal se haiñ dushman mere
khā ke qur.āñ kī qasam jhūTī gavāhī deñge
un se rakhiye na kisī mehr-o-vafā kī ummīd
ye to aise haiñ ki sūraj ko syāhī deñge
mausam-e-lutf-e-atā hai abhī maiḳhāne meñ
jaam kyā chiiz hai ye tum ko surāhī deñge
to hiqārat kī nazar se na unheñ dekh miyāñ
ye phaTe kapḌe tujhe ḳhil.at-e-shāhī deñge
aisā lagtā hai havāoñ ke ye pāgal jhoñke
ret par likkhī ibārat ko miTā hī deñge
itnī māyūsī bhī achchhī nahīñ khoTe sikko
ik na ik din tumheñ ham log chalā hī deñge
karke ye faisla ham ghar se chale haiñ 'qaisar'
kuchh kharī khoTī tumheñ aaj sunā hī deñge