Wazir Ali Saba Lakhnavi

banda ab na-subur hota hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
banda ab nā-subūr hotā hai
afv hove qusūr hotā hai
vo zamīñ par qadam nahīñ rakhte
husn kā kyā ġhurūr hotā hai
daulat husn ke luTāne meñ
ḳharch kyā ai huzūr hotā hai
surma āñkhoñ meñ vo lagāte haiñ
dekhiye kyā futūr hotā hai
ham haiñ majbūr aap haiñ muḳhtār
kahiye kis se qusūr hotā hai
saaya us āftāb-tal.at kā
dīda-e-mah kā nuur hotā hai
ḳhaak hāsil hai us se murdoñ ko
zar jo sarf-e-qubūr hotā hai
mai-kashoñ meñ mudām ai zāhid
nāra-e-yā-ġhafūr hotā hai
vasl ho Tāliye na bose par
is se kyā ai huzūr hotā hai
fikr rakhte nahīñ haiñ dīvāne
bā.is-e-ġham shu.ūr hotā hai
partav-e-ruḳh se un kā jeb-e-qabā
dāman-e-koh-e-tūr hotā hai
ḳhuub āshiq kā paas karte ho
har ghaḌī duur duur hotā hai
ek hī nuur kā zamāne meñ
sau tarah se zuhūr hotā hai
mujh ko nāhaq halāl karte hai
ḳhuun ye be-qusūr hotā hai
kashtī-e-mai chalī to ai saaqī
bahr-e-ġham se ubuur hotā hai
ai 'sabā' jab bahār aatī hai
ham ko saudā zarūr hotā hai
Top Urdushayar.com