ishq meñ ik āsānī hai sab chīzeñ kam-kam kaafī haiñ
ham ko bhī ab vasl-o-hijr ke do hī mausam kaafī haiñ
jā tū us kā ho jā jānāñ us ko ishq zarūrī hai
apne liye to terī yādeñ ġhazleñ aur ram kaafī haiñ
kaun haiñ ye jo bain kare haiñ un se kahiye ghar jaa.eñ
ek janāze meñ ik insāñ aur us ke ġham kaafī haiñ
hoñT hue haiñ jūThe apne dil bhī thoḌā ġhā.eb hai
tum ko mileñge jānāñ aadhe paune hī ham kaafī haiñ
tum kyā ishq karogī 'muditā' ye sar-dardī rahne do
tum ko pareshāñ karne ko to zulfoñ ke ḳham kaafī haiñ