Jafar Tahir

kahne ko yun to abr-e-karam qatra-zan hua

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
kahne ko yuuñ to abr-e-karam qatra-zan huā
vo gul khile nadīm ki ḳhūn-e-chaman huā
ye dāġh-e-dil ki jin se rivāj-e-sahar chalā
nok-e-mizha pe ashk jo ubhrā kiran huā
patthar kī mūrateñ nazar aatī haiñ chār-sū
yārab tire jahāñ ko ye kyā daf.atan huā
donoñ meñ gūñjtī haiñ bahāroñ kī dhaḌkaneñ
merī ġhazal huī ki tumhārā badan huā
donoñ se ho rahā hai na.ī sub.h kā zuhūr
terī qabā huī ki hamārā kafan huā
'tāhir' siyāh-fām hue ham to ġham nahīñ
raushan hamāre naam se nām-e-suḳhan huā
Top Urdushayar.com