Jafar Tahir

ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chalā
siyāh-rāt kā jaadū magar na ham pe chalā
udhar se pahle bhī kuchh sarfarosh guzāre the
rah-e-talab meñ nishān-e-qadam qadam pe chalā
ye tā.irān-e-chaman kā nasīb kyā kahiye
vo tiir un ke liye vaqf hai jo kam pe chalā
ḳhudā ḳhudā ke ishāre pe lauT lauT gayā
taḌap taḌap ke tarīq-e-sanam sanam pe chalā
kabhī ḳhudā kī parastish kabhī sanā-e-butāñ
rah-e-arab pe kabhī jāda-e-ajam pe chalā
asīr-e-dām na hogā mirā dil-e-āzād
kisī kā hukm kabhī mauj-e-yam-ba-yam pe chalā
tujhe bhī dekh liyā ham ne o ḳhudā-e-ajal
ki terā zor chalā bhī to ahl-e-ġham pe chalā
ye naqsh-e-pā haiñ ki zanjīr-e-mauj-e-ḳhūñ yaaro
ye kaun turfa-javāñ jāda-e-sitam pe chalā
lab-o-nigāh pe mohreñ lagī rahīñ 'tāhir'
kisī kā zor na lekin mire qalam pe chalā
Top Urdushayar.com