Jafar Tahir

phir wahi qatl-e-mohabbat-zadagan hai ki jo tha

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
phir vahī qatl-e-mohabbat-zadagāñ hai ki jo thā
rasan-o-dār kā aalam meñ samāñ hai ki jo thā
un ke hāthoñ meñ vahī teġh-e-sitam hai ki jo thī
dahr mātam-kada-e-be-gunahāñ hai ki jo thā
chashm-e-pur-ḳhūn-e-vafā lāla-nishāñ hai ki jo thī
qismat-e-bul-havasāñ aish-e-jahāñ hai ki jo thā
hairat-e-ahl-e-nazar ahl-e-hunar hai ki jo thī
shohra-e-kam-nazrāñ be-hunrāñ hai ki jo thā
rasm-e-ārā.ish-e-aivān-e-tarab hai ki jo thī
sar-e-farhād ye vo koh-e-girāñ hai ki jo thā
ye shajar haiñ ki salībeñ sī gaḌī haiñ har sū
manzil-e-ishq vahī sañg-e-nishāñ hai ki jo thā
daftar-e-lāla-o-gul hai na vo dīvān-e-bahār
zīnat-e-lauh-e-chaman harf-e-ḳhizāñ hai ki jo thā
zer-e-har-shāḳh shab-o-roz qafas Dhalte haiñ
ālam-e-nauha-garāñ basta-parāñ hai ki jo thā
daulat-e-ahl-e-talab ḳhār-e-sitam haiñ ki jo the
chaar sū ġhalġhala-e-gul-badanāñ hai ki jo thā
sāya-e-murġh-e-parīda hai ki ye abr-e-bahār
gila-e-marhamat-e-āh-e-tapāñ hai ki jo thā
hai vahī aaj bhī rañg-o-ravish-e-rūd-e-farāt
har nafas mātamī-e-tishna-labāñ hai ki jo thā
aaj bhī arz-e-vafā un pe girāñ hai ki jo thī
aaj bhī hausla-e-sharh-o-bayāñ hai ki jo thā
na vafāoñ pe nazar hai na jafāoñ kā malāl
dil meñ vo dard vo ehsās kahāñ hai ki jo thā
saulat-o-satvat-e-arbāb-e-hamam miT ke rahī
luT ke bhī husn-e-butāñ husn-e-butāñ hai ki jo thā
hai tirī yaad nashāt-e-shab-e-hijrāñ ki jo thī
haañ tirā dard qarār-e-dil-o-jāñ hai ki jo thā
jalva-e-yār se mahrūm hai ġham-ḳhāna-e-dil
ye vahī tīra-o-tārīk makāñ hai ki jo thā
vaqt ke saath badaltā nahīñ jāfar-'tāhir'
ye vahī soḳhta-dil soḳhta-jāñ hai ki jo thā
Top Urdushayar.com