Jafar Tahir

chheD kar tazkira-e-daur-e-jawani roya

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
chheḌ kar tazkira-e-daur-e-javānī royā
raat yāroñ ko sunā kar maiñ kahānī royā
zikr thā kūcha o bāzār ke hañgāmoñ kā
jaane kyā soch ke vo yūsuf-e-sānī royā
ġhairat-e-ishq ne kyā kyā na bahā.e aañsū
sun ke bāteñ tirī ġhairoñ kī zabānī royā
jab bhī dekhī hai kisī chehre pe ik taaza bahār
dekh kar maiñ tirī tasvīr purānī royā
chashm-e-arbāb-e-vafā hai jo lahū rotī hai
ġhair phir ġhair hai royā bhī to paanī royā
terī mahkī huī sāñsoñ kī laveñ yaad aa.iiñ
aaj to dekh ke maiñ sub.h suhānī royā
ai vatan jab bhī sar-e-dasht koī phuul khilā
dekh kar tere shahīdoñ kī nishānī royā
Top Urdushayar.com