Wazir Ali Saba Lakhnavi

dil-e-pur dagh bagh kis ka hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
dil-e-pur daaġh baaġh kis kā hai
dīda-e-tar ayāġh kis kā hai
mai-kada sehn-e-bāġh kis kā hai
sāġhar-e-gul ayāġh kis kā hai
daaġh chamkā chalī nasīm-e-bahār
ye havā meñ charāġh kis kā hai
kyuuñ kaheñ zulf-e-yār ko sumbul
yaañ pareshāñ dimāġh kis kā hai
dil-e-pur-dāġh kī yahī hai bahār
na khule ḳhāna baaġh kis kā hai
nāsehā maġhz kyuuñ phirātā hai
chal tirā sā dimāġh kis kā hai
chaar unsur ke sab tamāshe haiñ
vaah ye chār-bāġh kis kā hai
arsh-e-ālī pe fikr-e-ālī hai
ham ne paayā surāġh kis kā hai
kis kā maskan hai sīna-e-ārif
dil-e-raushan charāġh kis kā hai
jeb-e-gul kis pe chaak rahtā hai
dil meñ laale ke daaġh kis kā hai
dīn-o-duniyā ko tark kar baiThe
aur naam infirāġh kis kā hai
ai junūñ tere vāste sab haiñ
baaġh kis kā hai raaġh kis kā hai
yaar allāh re terā aalam
dekh ye dil meñ daaġh kis kā hai
māh-rū aur bhī haiñ duniyā meñ
yuuñ falak par dimāġh kis kā hai
ai 'sabā' is zamīñ meñ aise sher
aisā aalī dimāġh kis kā hai
Top Urdushayar.com