ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ hai ki nahīñ
dil-sitāñ silsila-e-ġham-zadagāñ hai ki nahīñ
har nafas bazm-e-gulistāñ meñ ġhazal-ḳhvāñ thā kabhī
har nafas nāla-kashāñ nauha-kunāñ hai ki nahīñ
har nazar naġhma-sarā anjuman-ārā thī kabhī
har nazar hairatī-e-rañg-e-jahāñ hai ki nahīñ
har zabāñ par thā kabhī tazkira-e-daur-e-bahār
har zabāñ shikva-gar-e-jaur-e-ḳhizāñ hai ki nahīñ
mai-chakāñ bāda-nishāñ the lab-e-gul-rañg kabhī
lab-e-gul-rañg pe zaḳhmoñ kā gumāñ hai ki nahīñ
surma-e-chashm-e-ināyat kī hikāyat chhoḌo
aaj har aañkh meñ aahoñ kā dhuāñ hai ki nahīñ
qāfile jaane ghaTāoñ ke kahāñ utreñge
har ḳham-e-zulf ba-hasrat-nigarāñ hai ki nahīñ
dasht-e-vahshat se nahīñ kam ye jahān-e-gul-o-bū
sūrat-e-reg-e-ravāñ umr-e-ravāñ hai ki nahīñ
naġhma-e-bād-e-bahāri jise tum kahte ho
jaras-e-qāfila-e-gul kī fuġhāñ hai ki nahīñ
na to bulbul kī navā hai na sadā-e-tā.ūs
sehn-e-gulzār meñ ab amn-o-amāñ hai ki nahīñ
mujh se kyā pūchhte ho kaun yahāñ tak pahuñchā
surḳhī-e-ḳhār-e-bayābāñ se ayaañ hai ki nahīñ
zindagī kuchh bhī sahī phir bhī baḌī daulat hai
maut sī shai bhī yahāñ jins-e-girāñ hai ki nahīñ
sūrat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyuuñ na jale
aag patthar ke bhī siine meñ nihāñ hai ki nahīñ
zulm chup-chāp sahe jāoge āḳhir kab tak
ai asīrān-e-qafas muñh meñ zabāñ hai ki nahīñ
ye adab-gāh-e-mohabbat hai jo chup huuñ 'tāhir'
varna yaañ kaun sā andāz-e-bayāñ hai ki nahīñ