kahne ko to kyā kyā na dil-e-zār meñ aa.e
har baat kahāñ qālib-e-iz.hār meñ aa.e
nazdīk jo pahuñche to vo aahoñ kā dhuāñ thā
kahne ko to ham sāya-e-dīvār meñ aa.e
har mauja-e-ḳhūñ sar se guzar jaa.e to achchhā
har phuul mire halqa-e-dastār meñ aa.e
ham apnī salīboñ kī hifāzat meñ khaḌe haiñ
ab jo bhī shikan gesū-e-dil-dār meñ aa.e
paañv meñ agar tauq-o-salāsil haiñ to kyā ġham
ai ham-safaro farq na raftār meñ aa.e
ik umr bhaTakte hue guzrī hai junūñ meñ
ab kaun fareb-e-nigah-e-yār meñ aa.e
ai kaash kabhī us kā idhar se bhī guzar ho
ik din to sabā lauT ke gulzār meñ aa.e
jachte bhī to kyā chashm-e-ḳharīdār meñ 'tāhir'
ham kaun se yūsuf the jo bāzār meñ aa.e